|
Answer» 1. Ghaw par namak chhirakna:- Varun ko jab wyapar mein bhari ghata huwa to tarun NE uska mazak urakar uske ghaw par namak chhirakne ka kam kiya.
2. Ghore bechkar sona:- Upar wale ki ashirwad hai ki tumahara kam sahi chal raha hai. Tum aram SE ghore behkar sowo.
3. Char chand lagana:- Lokpriya tatha sabhya wyakti jis karyakram mein pahuch jate hai waha char chand lag jate hai.
4. Choli-daman ka saath:- Dinesh-Mhesh ne choli-daman ka saath nibahate huwe CHOTA sa kaam shuru karke itni pragati ki ki aj we janemane wyawsayi hai.
5. Chirag tale andhera:- Ahha padhane wale ADHYAPAK ke bete ka bar-bar fail ho jana, ise kehete hai chirag tale andhera.
6. Ganimat ho jana:- Rail durghatna mein chot to lagi parantu jaan bach gayi, yaha ganimat ho gayi.
7. Ghas na dalna;- Mahesh ne apna kaam nikal jaane par shyam ko ghas dalni bhi band kar di.
8. Ghore par sawar rehna:- Suresh ki aadat mein yaha shamil ho gaya hai ki waha har samay ghore par sawar rehta hai.
9. Andhe ki laathi:- SHRAWAN kumar apne andhe mata-pita ke liye andhe ki laathi tha.
10. Agiya betal hona:- Jo log apni galti ya kamiya sunkar agiya betal ho jate hai, wo jivan mein kabhi age nahi bar sakte.
Hope this helps you.... Please mark as brainliest if it does....
|